qismat agar roothe tabhi fursat kahaan
nazre jhukaaye roz to jurat kahaan
har shakhs ki hoti nahin qeemat yahan
hai ilm to dikhti use soorat kahaan
saare jahaan bhi dekhte but mein jise
banti taraashe hi bina moorat kahaan
haan door tak milti tabeeyat hai kahaan
dil se safa is shehar mein nafrat kahaan
dil mein muhabbat hai mere chaahat bhi hai
naadaan vasl-e-yaar ki hasrat kahaan
sach hai jahaan mein maa agar ho saath to
aulaad ko us se badi daulat kahaan
insaaniyat se kyun unhen naarazgi
ik doosre ko jaanna fitrat kahaan
tauheen kyun insaan ki hoti kabhi
fitrat manohar hai juda seerat kahaan
क़िस्मत अगर रूठे तभी फ़ुर्सत कहाँ
नज़रे झुकाए रोज़ तो जुरअत कहाँ
हर शख़्स की होती नहीं क़ीमत यहाँ
है इल्म तो दिखती उसे सूरत कहाँ
सारे जहाँ भी देखते बुत में जिसे
बनती तराशे ही बिना मूरत कहाँ
हाँ दूर तक मिलती तबीअत है कहाँ
दिल से सफ़ा इस शहर में नफ़रत कहाँ
दिल में मुहब्बत है मेरे चाहत भी है
नादान वस्ल-ए-यार की हसरत कहाँ
सच है जहाँ में माँ अगर हो साथ तो
औलाद को उस से बड़ी दौलत कहाँ
इंसानियत से क्यूँ उन्हें नाराज़गी
इक दूसरे को जानना फ़ितरत कहाँ
तौहीन क्यूँ इंसान की होती कभी
फ़ितरत 'मनोहर' है जुदा सीरत कहाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Maa Shayari Shayari