raah-e-safar mein bandagi yun hi rahe
kyun phir ibadat mein kami yun hi rahe
jab dil kabhi yun hi bujha sa hi rahe
phir tishnagi mein be-rukhi yun hi rahe
dekhi bhalaai faisla lete tabhi
achhi koii aadat meri yun hi rahe
koii mukammal bhi nahin hai isliye
insaaniyat mein phir kami yun hi rahe
hasrat manohar mere bhi dil mein rahe
haan kaifiyat sabki kabhi yun hi rahe
राह-ए-सफ़र में बंदगी यूँ ही रहे
क्यूँ फिर इबादत में कमी यूँ ही रहे
जब दिल कभी यूँ ही बुझा सा ही रहे
फिर तिश्नगी में बे-रुख़ी यूँ ही रहे
देखी भलाई फ़ैसला लेते तभी
अच्छी कोई आदत मेरी यूँ ही रहे
कोई मुकम्मल भी नहीं है इसलिए
इंसानियत में फिर कमी यूँ ही रहे
हसरत 'मनोहर' मेरे भी दिल में रहे
हाँ कैफ़ियत सबकी कभी यूँ ही रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Greed Shayari Shayari