sitam vo hi kare daad-e-jafa bhi
bahut saare hue us se khafa bhi
kabhi bhi baat niklegi wafa ki
tabhi ulfat bataaye haunsla bhi
agar bismil hua hai ishq mein hi
usi ka hal yahan bhi hai rafa bhi
usoolon se jiya hai kaun yaaron
kisi bhi baat kyun hote khafa bhi
dilon ko saadgi chhooti tabhi phir
wahan se door rehta bewafa bhi
kabhi hote kisi ke ham sahaare
tabhi to waqt karta hai wafa bhi
tire us ik nazar ke hi liye to
manohar ham mile kitne dafa bhi
सितम वो ही करे दाद-ए-जफ़ा भी
बहुत सारे हुए उस से ख़फ़ा भी
कभी भी बात निकलेगी वफ़ा की
तभी उल्फ़त बताए बा-वफ़ा भी
अगर बिस्मिल हुआ है इश्क़ में ही
उसी का हल यहाँ भी है रफ़ा भी
उसूलों से जिया है कौन यारों
किसी भी बात क्यों होते ख़फ़ा भी
दिलों को सादगी छूती तभी फिर
वहाँ से दूर रहता बेवफ़ा भी
कभी होते किसी के हम सहारे
तभी तो वक़्त करता है वफ़ा भी
तिरे उस इक नज़र के ही लिए तो
"मनोहर" हम मिले कितने दफ़ा भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Nigaah Shayari Shayari