tishnagi kii badi kahaani hai | तिश्नगी की बड़ी कहानी है - Manohar Shimpi

tishnagi kii badi kahaani hai
ye haqeeqat hi be-zubaani hai

ishq mein jab wafa na ho tab phir
dil-lagi mein bhi sargiraani hai

dost saare kahaan sahi hote
vo naseehat bahut puraani hai

dard mein saath ajnabi de to
phir vo uski to meherbaani hai

ek vo hi khayaal rakhti hai
asl me vo bahut siyaani hai

gul khile raat ko manohar jab
jo mahakta vo raat-raani hai

तिश्नगी की बड़ी कहानी है
ये हक़ीक़त ही बेज़ुबानी है

इश्क़ में जब वफ़ा न हो तब फिर
दिल-लगी में भी सरगिरानी है

दोस्त सारे कहाँ सही होते
वो नसीहत बहुत पुरानी है

दर्द में साथ अजनबी दे तो
फिर वो उसकी तो मेहरबानी है

एक वो ही ख़याल रखती है
अस्ल मे वो बहुत सियानी है

गुल खिले रात को 'मनोहर' जब
जो महकता वो रात-रानी है

- Manohar Shimpi
1 Like

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari