ham ko kis ke gham ne maara ye kahaani phir sahi
kis ne toda dil hamaara ye kahaani phir sahi
dil ke lutne ka sabab poocho na sab ke saamne
naam aayega tumhaara ye kahaani phir sahi
nafratoin ke teer kha kar doston ke shehar mein
ham ne kis kis ko pukaara ye kahaani phir sahi
kya bataayein pyaar ki baazi wafa ki raah mein
kaun jeeta kaun haara ye kahaani phir sahi
हम को किस के ग़म ने मारा ये कहानी फिर सही
किस ने तोड़ा दिल हमारा ये कहानी फिर सही
दिल के लुटने का सबब पूछो न सब के सामने
नाम आएगा तुम्हारा ये कहानी फिर सही
नफ़रतों के तीर खा कर दोस्तों के शहर में
हम ने किस किस को पुकारा ये कहानी फिर सही
क्या बताएँ प्यार की बाज़ी वफ़ा की राह में
कौन जीता कौन हारा ये कहानी फिर सही
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Masroor Anwar
our suggestion based on Masroor Anwar
As you were reading Gham Shayari Shayari