ik chaand teergi mein samar raushni ka tha | इक चाँद तीरगी में समर रौशनी का था - Mayank Awasthi

ik chaand teergi mein samar raushni ka tha
phir bhed khul gaya vo bhanwar raushni ka tha

suraj pe tu ne aankh tareree thi yaad kar
beenaaiyon pe phir jo asar raushni ka tha

sab chaandni kisi ki inaayat thi chaand par
us daagdaar sho pe kavar raushni ka tha

maghrib ki mad-bhari hui raaton mein kho gaya
is ghar mein koi lakht-e-jigar raushni ka tha

dariya mein us ne doob ke kar li hai khud-kushi
jis shay ka aasmaan pe safar raushni ka tha

zarre ko aftaab banaya tha hum ne aur
dharti pe qahar shaam-o-sehar raushni ka tha

इक चाँद तीरगी में समर रौशनी का था
फिर भेद खुल गया वो भँवर रौशनी का था

सूरज पे तू ने आँख तरेरी थी याद कर
बीनाइयों पे फिर जो असर रौशनी का था

सब चाँदनी किसी की इनायत थी चाँद पर
उस दाग़दार शो पे कवर रौशनी का था

मग़रिब की मद-भरी हुई रातों में खो गया
इस घर में कोई लख़्त-ए-जिगर रौशनी का था

दरिया में उस ने डूब के कर ली है ख़ुद-कुशी
जिस शय का आसमाँ पे सफ़र रौशनी का था

ज़र्रे को आफ़्ताब बनाया था हम ने और
धरती पे क़हर शाम-ओ-सहर रौशनी का था

- Mayank Awasthi
1 Like

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Mayank Awasthi

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari