kabhi murshid kabhi munsif kabhi to falsafi samjha
andhere mein magar hardam khuda ko raushni samjha
ye mushkil hai ki mere aur ik ladki ke rishte ko
jahaan ne jab kabhi samjha to keval aashiqi samjha
meri aankhon ka paani mar chuka tha isliye tumne
mujhe jabjab pukaara maine tumko gair hi samjha
tumhaare jaise duniya mein bahut se soorma aaye
to kya sabne khud apne ko hamesha aakhiri samjha
main duniyabhar ka ikik sach bayaan karta tha ghazalon mein
magar unko jahaan waalon ne keval shayari samjha
कभी मुर्शिद कभी मुंसिफ़ कभी तो फ़लसफ़ी समझा
अँधेरे में मगर हरदम ख़ुदा को रौशनी समझा
ये मुश्किल है कि मेरे और इक लड़की के रिश्ते को
जहाँ ने जब कभी समझा तो केवल आशिक़ी समझा
मेरी आँखों का पानी मर चुका था इसलिए तुमने
मुझे जबजब पुकारा मैंने तुमको ग़ैर ही समझा
तुम्हारे जैसे दुनिया में बहुत से सूरमा आए
तो क्या सबने ख़ुद अपने को हमेशा आख़िरी समझा
मैं दुनियाभर का इकइक सच बयाँ करता था ग़ज़लों में
मगर उनको जहाँ वालों ने केवल शायरी समझा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mayank Tiwari
our suggestion based on Mayank Tiwari
As you were reading Rishta Shayari Shayari