kisi ko koii hairaani nahin hai
jahaan kii aankh mein paani nahin hai
mile kaise kisi ko aaj mohan
koii meera sii deewani nahin hai
na haasil kar sakoge zeest mein kuchh
khuda kii gar nigahbaani nahin hai
kalander sa mizaaj-o-zarf apna
tabeeyat apni shaahaani nahin hai
jahaan mein maut aani hai sabhi ko
bata mujhko jo shay faani nahi hai
sabhi hain is chaman mein ajnabi se
magar khushboo to anjaani nahin hai
majaazii ishq apna hai ai meena
muhabbat apni laafaani nahin hain
किसी को कोई हैरानी नहीं है
जहां की आँख में पानी नहीं है
मिले कैसे किसी को आज मोहन
कोई मीरा सी दीवानी नहीं है
न हासिल कर सकोगे ज़ीस्त में कुछ
ख़ुदा की गर निगहबानी नहीं है
कलंदर सा मिज़ाज-ओ-ज़र्फ़ अपना
तबीअत अपनी शाहानी नहीं है
जहां में मौत आनी है सभी को
बता मुझको जो शय फ़ानी नही है
सभी हैं इस चमन में अजनबी से
मगर ख़ुशबू तो अनजानी नहीं है
मजाज़ी इश्क़ अपना है ऐ 'मीना'
मुहब्बत अपनी लाफ़ानी नहीं हैं
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari