thukra de ise chahe tu ya apna bana le
mehboob mera dil hai ye ab tere hawaale
un par bhi nazar daal kisi roz khudaaya
milte nahin jinko kabhi khaane ko nivaale
majhdhaar mein hai naav meri jag ke khiwaiya
ya-rab mujhe aa ke to zara aaj bacha le
soorat pe bhala unki yaqeen aaye bhi kyunkar
tan ke to hain ujle vo magar man ke hain kaale
sansaar kii nazren hain buri jaaun kahaan main
maa aake mujhe aaj tu aanchal mein chhupa le
bhatka hoon bahut tere liye raah-e-wafa mein
dete hain gawaahi ye mere paanv ke chaale
ham jeete rahe jinke liye khud ko bhula kar
meena wahi dete hain hamein zehar ke pyaale
ठुकरा दे इसे चाहे तू या अपना बना ले
महबूब मेरा दिल है ये अब तेरे हवाले
उन पर भी नज़र डाल किसी रोज़ ख़ुदाया
मिलते नहीं जिनको कभी खाने को निवाले
मझधार में है नाव मेरी जग के खिवैया
या-रब मुझे आ के तो ज़रा आज बचा ले
सूरत पे भला उनकी यक़ीं आए भी क्यूँकर
तन के तो हैं उजले वो मगर मन के हैं काले
संसार की नज़रें हैं बुरी जाऊँ कहाँ मैं
माँ आके मुझे आज तू आँचल में छिपा ले
भटका हूँ बहुत तेरे लिए राह-ए-वफ़ा में
देते हैं गवाही ये मेरे पाँव के छाले
हम जीते रहे जिनके लिए ख़ुद को भुला कर
'मीना' वही देते हैं हमें ज़हर के प्याले
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari