hamko samjhte hain vo gunahgaar ki tarah | हमको समझते हैं वो गुनहगार की तरह

  - Meena Bhatt

hamko samjhte hain vo gunahgaar ki tarah
padhkar hi fenk dete hain akhbaar ki tarah

toofaan aisa aaya kinaare bhi dar gaye
ham dekhte rahe yun hi laachaar ki tarah

unki nawaazishein theen karam bhi khuda ka tha
shaamil hue vo zeest mein dildaar ki tarah

jhoothe the unke vaade jo poore nahin hue
lekin vo hukm dete hain sarkaar ki tarah

naagin bani hain julfein bhi dasti hain raat-din
nainon ke teer chalte hain talwaar ki tarah

qaail bhi saadgi ke ada se hamein lagaav
har gaam par milenge wafaadar ki tarah

ab husn-e-yaar mein vo kashish hi nahin rahi
haalaat ne bana diya beemaar ki tarah

meena to hai radif magar qaafiya hain aap
apna wazuud goya hai ashaar ki tarah

हमको समझते हैं वो गुनहगार की तरह
पढ़कर ही फेंक देते हैं अख़बार की तरह

तूफ़ान ऐसा आया किनारे भी डर गए
हम देखते रहे यूँ ही लाचार की तरह

उनकी नवाज़िशें थीं, करम भी ख़ुदा का था
शामिल हुए वो ज़ीस्त में दिलदार की तरह

झूठे थे उनके वादे जो पूरे नहीं हुए
लेकिन वो हुक्म देते हैं सरकार की तरह

नागिन बनी हैं जुल्फ़ें भी डसती हैं रात-दिन
नैनों के तीर चलते हैं तलवार की तरह

क़ाइल भी सादगी के, अदा से हमें लगाव
हर गाम पर मिलेंगे वफ़ादार की तरह

अब हुस्न-ए-यार में वो कशिश ही नहीं रही
हालात ने बना दिया बीमार की तरह

'मीना' तो है रद़ीफ मगर क़ाफ़िया हैं आप
अपना वज़ूद गोया है अशआर की तरह

  - Meena Bhatt

Political Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading Political Shayari Shayari