gunche ajeeb tar the gul ae tar ajeeb tha
aankhen khuliin to shahr ka manzar ajeeb tha
khushiyaan tamaam umr mayassar na ho sakeen
us nek aadmi ka muqaddar ajeeb tha
nikla tha dushmanon ko mitaane ke vaaste
apno ko maar aaya vo lashkar ajeeb tha
duniya ko jeetne ki to chaahat rahi use
khud ko na jeet paaya sikandar ajeeb tha
us husn ae be misaal ke jalwon ke saamne
raushan falak pe maah ae munavvar ajeeb tha
uski havas ne shahr ko veeraan kar diya
main ne suna hai bheed ka tevar ajeeb tha
taajir jahaan ghamon ka hi meena tha har koi
khushiyon ko baantaa vo sukhanvar ajeeb tha
ग़ुंचे अजीब तर थे गुल -ए- तर अजीब था
आँखें खुलीं तो शह्र का मंज़र अजीब था
खुशियाँ तमाम उम्र मयस्सर न हो सकीं
उस नेक आदमी का मुक़द्दर अजीब था
निकला था दुश्मनों को मिटाने के वास्ते
अपनो को मार आया वो लश्कर अजीब था
दुनिया को जीतने की तो चाहत रही उसे
ख़ुद को न जीत पाया सिकन्दर अजीब था
उस हुस्न -ए -बे -मिसाल के जलवों के सामने
रौशन फ़लक पे माह -ए -मुनव्वर अजीब था
उसकी हवस ने शह्र को वीरान कर दिया
मैं ने सुना है भीड़ का तेवर अजीब था
ताजिर जहाँ ग़मों का ही मीना था हर कोई
ख़ुशियों को बाँटता वो सुख़नवर अजीब था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading Taareef Shayari Shayari