thi liyaqat shayari ki ye laqab haasil kiya | थी लियाक़त शायरी की ये लक़ब हासिल किया

  - Meena Bhatt

thi liyaqat shayari ki ye laqab haasil kiya
zar zameen ke daur mein hamne adab haasil kiya

raat din dekhe nahin tab hi hamein shohrat mili
jee churaana chhod ke bas kaam jab haasil kiya

ham tikaakar aankh apni lakshya par rakhe rahe
ye maza is qaamyaabi ka hai tab haasil kiya

in gamon se ham pareshaan to nahin hote kabhi
manzilon ki khoj karke hi to sab haasil kiya

jab jalata ho jahaan ummeed ke badhte shajar
tab ibadat karke hamne apna rab haasil kiya

kaat dale par hamaare waqt ke saiyyaad ne
abr ooncha dekh kar dard-e talab haasil kiya

umr saari vyarth ki hi bhatkano me khap gai
mar gaye ham aatma ne chain tab haasil kiya

man mutaabiq lakshya meena tay karo milta hai tab
kar bharosa doosron par kisne kab haasil kiya

थी लियाक़त शायरी की ये लक़ब हासिल किया
ज़र ज़मीं के दौर में हमने अदब हासिल किया

रात दिन देखे नहीं तब ही हमें शोहरत मिली
जी चुराना छोड़ के बस काम जब हासिल किया

हम टिकाकर आँख अपनी लक्ष्य पर रख्खे रहे
ये मज़ा इस क़ामयाबी का है तब हासिल किया

इन ग़मों से हम परेशाँ तो नहीं होते कभी
मंज़िलों की खोज करके ही तो सब हासिल किया

जब जलाता हो जहाँ उम्मीद के बढ़ते शजर
तब इबादत करके हमने अपना रब हासिल किया

काट डाले पर हमारे वक़्त के सैय्याद ने
अब्र ऊँचा देख कर दर्द-ए -तलब हासिल किया

उम्र सारी व्यर्थ की ही भटकनों मे खप गई
मर गये हम आत्मा ने चैन तब हासिल किया

मन मुताबिक़ लक्ष्य मीना तय करो मिलता है तब
कर भरोसा दूसरों पर किसने कब हासिल किया

  - Meena Bhatt

Eitbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading Eitbaar Shayari Shayari