kahaan ye waqt ham pe meherbaan tha
ghamon ka har taraf faila dhuaan tha
hamesha ishq mein to imtihaan tha
sitam laakhon sahe par be-zubaan tha
pade the ishq mein ham bhi kisi ke
kabhi seene mein dil apne jawaan tha
sukoon tha aur khushiyaan bhi theen dil mein
kabhi jab gaav mein mera makaan tha
lutaata jaan tha main to tumhin par
yaqeen lekin sanam tumko kahaan tha
sar-e-bazaar hi ruswa kare vo
hamein jis laal pe apne gumaan tha
mukammal tha iraadon ka jahaan vo
kisi ke dil mein apna aashiyaan tha
कहाँ ये वक़्त हम पे मेहरबाँ था
ग़मों का हर तरफ़ फैला धुआँ था
हमेशा इश्क़ में तो इम्तिहाँ था
सितम लाखों सहे पर बेज़ुबाँ था
पड़े थे इश्क़ में हम भी किसी के
कभी सीने में दिल अपने जवाँ था
सुकूँ था और ख़ुशियाँ भी थीं दिल में
कभी जब गाँव में मेरा मकाँ था
लुटाता जान था मैं तो तुम्हीं पर
यक़ीं लेकिन सनम तुमको कहाँ था
सर-ए-बाज़ार ही रुसवा करे वो
हमें जिस लाल पे अपने गुमाँ था
मुकम्मल था इरादों का जहाँ वो
किसी के दिल में अपना आशियाँ था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading Zakhm Shayari Shayari