tujhpe jab maasoom sa dil aashnaa ho jaayega
khushhaali ae dil mein hamaara daakhila ho jaayega
uljhnon ke saath mera raabta ho jaayega
door mujhse tu agar ae hamnava ho jaayega
dard o gham ka daur hai mayus bhi hai zindagi
roz hi ab to naya ik haadsa ho jaayega
taktaki baandhe agar dekhenge mujhko aap to
saari duniya ko muhabbat ka pata ho jaayega
bojh ab shishabadan ye ho gaya jaanam mera
saath ho tera agar kuchh hausla ho jaayega
kaam auron kii museebat mein agar aa jaayen ham
aap hi insaaniyat ka qad bada ho jaayega
zulf-e-barham ko sanwaaro ab na meena is qadar
aashiqon kii jaan ka phir mas'ala ho jaayega
तुझपे जब मासूम सा दिल आशना हो जाएगा
मकतब ए दिल में हमारा दाख़िला हो जाएगा
उलझनों के साथ मेरा राब्ता हो जाएगा
दूर मुझसे तू अगर ए हमनवा हो जाएगा
दर्द ओ ग़म का दौर है मायूस भी है ज़िंदगी
रोज़ ही अब तो नया इक हादसा हो जाएगा
टकटकी बाँधे अगर देखेंगे मुझको आप तो
सारी दुनिया को मुहब्बत का पता हो जाएगा
बोझ अब शीशाबदन ये हो गया जानम मेरा
साथ हो तेरा अगर कुछ हौसला हो जाएगा
काम औरों की मुसीबत में अगर आ जाएँ हम
आप ही इंसानियत का क़द बड़ा हो जाएगा
ज़ुल्फ़-ए-बरहम को सँवारो अब न मीना इस क़दर
आशिक़ों की जान का फिर मसअला हो जाएगा
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari