bazm mein jo tira zuhoor nahin | बज़्म में जो तिरा ज़ुहूर नहीं

  - Meer Taqi Meer

bazm mein jo tira zuhoor nahin
sham-e-raushan ke munh pe noor nahin

kitni baatein bana ke laaun ek
yaad rahti tire huzoor nahin

khoob pahchaanta hoon tere tai
itna bhi to main be-shuur nahin

qatl hi kar ki us mein raahat hai
laazim us kaam mein muroor nahin

fikr mat kar hamaare jeene ka
tere nazdeek kuchh ye door nahin

phir jiyeenge jo tujh sa hai jaan-bakhsh
aisa jeena hamein zaroor nahin

aam hai yaar ki tajalli meer
khaas moosa wa koh-e-toor nahin

बज़्म में जो तिरा ज़ुहूर नहीं
शम-ए-रौशन के मुँह पे नूर नहीं

कितनी बातें बना के लाऊँ एक
याद रहती तिरे हुज़ूर नहीं

ख़ूब पहचानता हूँ तेरे तईं
इतना भी तो मैं बे-शुऊर नहीं

क़त्ल ही कर कि उस में राहत है
लाज़िम उस काम में मुरूर नहीं

फ़िक्र मत कर हमारे जीने का
तेरे नज़दीक कुछ ये दूर नहीं

फिर जिएँगे जो तुझ सा है जाँ-बख़्श
ऐसा जीना हमें ज़रूर नहीं

आम है यार की तजल्ली 'मीर'
ख़ास मूसा व कोह-ए-तूर नहीं

  - Meer Taqi Meer

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari