kahi pahuncho bhi mujh be-pa-o-sar tak | कहीं पहुँचो भी मुझ बे-पा-ओ-सर तक

  - Meer Taqi Meer

kahi pahuncho bhi mujh be-pa-o-sar tak
ki pahuncha sham'a-saan daagh ab jigar tak

kuchh apni aankh mein yaa ka na aaya
khazaf se le ke dekha dar-e-tar tak

jise shab aag sa dekha sulagte
use phir khaak hi paaya sehar tak

tira munh chaand sa dekha hai shaayad
ki anjum rahte hain har shab idhar tak

jab aaya aah tab apne hi sar par
gaya ye haath kab us ki kamar tak

ham aawazon ko sair ab ki mubarak
par-o-baal apne bhi aise the par tak

khinchi kya kya kharaabi zer-e-deewar
wale aaya na vo tak ghar se dar tak

gali tak teri laaya tha hamein shauq
kahaan taqat ki ab phir jaayen ghar tak

yahi dard-e-judai hai jo is shab
to aata hai jigar mizgaan-e-tar tak

dikhaai denge ham mayyat ke rangon
agar rah jaayenge jeete sehar tak

kahaan phir shor shevan jab gaya meer
ye hangaama hai is hi nauhagar tak

कहीं पहुँचो भी मुझ बे-पा-ओ-सर तक
कि पहुँचा शम्अ-साँ दाग़ अब जिगर तक

कुछ अपनी आँख में याँ का न आया
ख़ज़फ़ से ले के देखा दर-ए-तर तक

जिसे शब आग सा देखा सुलगते
उसे फिर ख़ाक ही पाया सहर तक

तिरा मुँह चाँद सा देखा है शायद
कि अंजुम रहते हैं हर शब इधर तक

जब आया आह तब अपने ही सर पर
गया ये हाथ कब उस की कमर तक

हम आवाज़ों को सैर अब की मुबारक
पर-ओ-बाल अपने भी ऐसे थे पर तक

खिंची क्या क्या ख़राबी ज़ेर-ए-दीवार
वले आया न वो टक घर से दर तक

गली तक तेरी लाया था हमें शौक़
कहाँ ताक़त कि अब फिर जाएँ घर तक

यही दर्द-ए-जुदाई है जो इस शब
तो आता है जिगर मिज़्गान-ए-तर तक

दिखाई देंगे हम मय्यत के रंगों
अगर रह जाएँगे जीते सहर तक

कहाँ फिर शोर शेवन जब गया 'मीर'
ये हंगामा है इस ही नौहागर तक

  - Meer Taqi Meer

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari