haal-e-dil meer ka ro ro ke sab ai maah suna
shab ko al-qissaa ajab qissa-e-jaan-kaah suna
na-bald ho ke rah-e-ishq mein pahunchu to kahi
hamra khizr ko yaa kahte hain gumraah suna
koi in tauron se guzre hai tire gham mein meri
gaah tu ne na suna haal mera gaah suna
khwaab-e-ghaflat mein hain yaa sab to abas jaaga meer
be-khabar dekha unhen main jinhen aagaah suna
हाल-ए-दिल 'मीर' का रो रो के सब ऐ माह सुना
शब को अल-क़िस्सा अजब क़िस्सा-ए-जाँ-काह सुना
ना-बलद हो के रह-ए-इश्क़ में पहुँचूँ तो कहीं
हमरा ख़िज़र को याँ कहते हैं गुमराह सुना
कोई इन तौरों से गुज़रे है तिरे ग़म में मिरी
गाह तू ने न सुना हाल मिरा गाह सुना
ख़्वाब-ए-ग़फ़लत में हैं याँ सब तो अबस जागा 'मीर'
बे-ख़बर देखा उन्हें मैं जिन्हें आगाह सुना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Dard Shayari Shayari