main bhi duniya mein hoon ik naala-pareshaan yak ja | मैं भी दुनिया में हूँ इक नाला-परेशाँ यक जा

  - Meer Taqi Meer

main bhi duniya mein hoon ik naala-pareshaan yak ja
dil ke sau tukde mere par sabhi naalaan yak ja

pand-goyo ne bahut seene ki tadbeerein leen
aah saabit bhi na nikla ye garebaan yak ja

tera koocha hai sitamgaar vo kaafir jaagah
ki jahaan maare gaye kitne musalmaan yak ja

sar se baandha hai kafan ishq mein tere ya'ni
jam'a ham ne bhi kiya hai sar-o-saamaan yak ja

kyoonke padte hain tire paanv naseem-e-sehri
us ke kooche mein hai sad ganj-e-shaheedaan yak ja

tu bhi rone ko mila dil hai hamaara bhi bhara
hoje ai abr bayaabaan mein giryaa yak ja

baith kar meer jahaan khoob na roya hove
aisi kooche mein nahin hai tire jaanaan yak ja

मैं भी दुनिया में हूँ इक नाला-परेशाँ यक जा
दिल के सौ टुकड़े मिरे पर सभी नालाँ यक जा

पंद-गोयों ने बहुत सीने की तदबीरें लीं
आह साबित भी न निकला ये गरेबाँ यक जा

तेरा कूचा है सितमगार वो काफ़िर जागह
कि जहाँ मारे गए कितने मुसलमाँ यक जा

सर से बाँधा है कफ़न इश्क़ में तेरे या'नी
जम्अ' हम ने भी किया है सर-ओ-सामाँ यक जा

क्यूँके पड़ते हैं तिरे पाँव नसीम-ए-सहरी
उस के कूचे में है सद गंज-ए-शहीदाँ यक जा

तू भी रोने को मिला दिल है हमारा भी भरा
होजे ऐ अब्र बयाबान में गिर्यां यक जा

बैठ कर 'मीर' जहाँ ख़ूब न रोया होवे
ऐसी कूचे में नहीं है तिरे जानाँ यक जा

  - Meer Taqi Meer

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari