sair ke qaabil hai dil-sad-paara us nakhchir ka | सैर के क़ाबिल है दिल-सद-पारा उस नख़चीर का

  - Meer Taqi Meer

sair ke qaabil hai dil-sad-paara us nakhchir ka
jis ke har tukde mein ho paivast paikaan teer ka

sab khula baag-e-jahaan illa ye hairaan-o-khafa
jis ko dil samjhe the ham so guncha tha tasveer ka

boo-e-khoon se jee ruka jaata hai ai baad-e-bahaar
ho gaya hai chaak dil shaayad kaso dil-geer ka

kyoonke naqkaash-e-azl ne naqsh abroo ka kiya
kaam hai ik tere munh par kheenchana shamsheer ka

raahguzaar sail-e-hawadis ka hai be-buniyaad-e-dehr
is kharaabe mein na karna qasd tum ta'aamir ka

bas tabeeb uth ja meri baaleen se mat de dard-e-sar
kaam yaa aakhir hua ab faaeda tadbeer ka

naala-kash hain ahad-e-peeri mein bhi tere dar pe ham
qadd-e-kham-gashta hamaara halka hai zanjeer ka

jo tire kooche mein aaya phir wahin gaada use
tishna-e-khoon mein to hoon us khaak-e-daaman-geer ka

khoon se mere hui yak-dam khushi tum ko to lek
muft mein jaata raha jee ek be-taqseer ka

lakht-e-dil se jun chhidi phoolon ki goondhi hai wale
faaeda kuchh ai jigar is aah-e-be-taaseer ka

gor-e-majnoon se na jaavenge kahi ham be-nava
aib hai ham mein jo chhodein dher apne peer ka

kis tarah se maaniye yaaro ki ye aashiq nahin
rang uda jaata hai tak chehra to dekho meer ka

सैर के क़ाबिल है दिल-सद-पारा उस नख़चीर का
जिस के हर टुकड़े में हो पैवस्त पैकाँ तीर का

सब खुला बाग़-ए-जहाँ इल्ला ये हैरान-ओ-ख़फ़ा
जिस को दिल समझे थे हम सो ग़ुंचा था तस्वीर का

बू-ए-ख़ूँ से जी रुका जाता है ऐ बाद-ए-बहार
हो गया है चाक दिल शायद कसो दिल-गीर का

क्यूँके नक़्काश-ए-अज़ल ने नक़्श अबरू का किया
काम है इक तेरे मुँह पर खींचना शमशीर का

रहगुज़र सैल-ए-हवादिस का है बे-बुनियाद-ए-दहर
इस ख़राबे में न करना क़स्द तुम ता'मीर का

बस तबीब उठ जा मिरी बालीं से मत दे दर्द-ए-सर
काम याँ आख़िर हुआ अब फ़ाएदा तदबीर का

नाला-कश हैं अहद-ए-पीरी में भी तेरे दर पे हम
क़द्द-ए-ख़म-गश्ता हमारा हल्क़ा है ज़ंजीर का

जो तिरे कूचे में आया फिर वहीं गाड़ा उसे
तिश्ना-ए-ख़ूँ में तो हूँ उस ख़ाक-ए-दामन-गीर का

ख़ून से मेरे हुई यक-दम ख़ुशी तुम को तो लेक
मुफ़्त में जाता रहा जी एक बे-तक़सीर का

लख़्त-ए-दिल से जूँ छिड़ी फूलों की गूंधी है वले
फ़ाएदा कुछ ऐ जिगर इस आह-ए-बे-तासीर का

गोर-ए-मजनूं से न जावेंगे कहीं हम बे-नवा
ऐब है हम में जो छोड़ें ढेर अपने पीर का

किस तरह से मानिए यारो कि ये आशिक़ नहीं
रंग उड़ा जाता है टक चेहरा तो देखो 'मीर' का

  - Meer Taqi Meer

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari