suna hai haal tire kushtagaaan bechaaron ka | सुना है हाल तिरे कुश्तगाँ बेचारों का

  - Meer Taqi Meer

suna hai haal tire kushtagaaan bechaaron ka
hua na gor gadha un sitam ke maaron ka

hazaar rang khile gul chaman ke hain shaahid
ki rozgaar ke sar khoon hai hazaaron ka

mila hai khaak mein kis kis tarah ka aalam yaa
nikal ke shehar se tak sair kar mazaaron ka

araq-fishaani se us zulf ki hiraasaan hoon
bhala nahin hai bahut tootna bhi taaron ka

ilaaj karte hain sauda-e-ishq ka mere
khalal-pazeer hua hai dimaagh yaaron ka

tiri hi zulf ko mahshar mein ham dikha denge
jo koi maangega naama siyahkaaron ka

kharaash-e-seena-e-aashiq bhi dil ko lag jaaye
ajab tarah ka hai firqa ye dil-figaaron ka

nigah-e-mast ke maare tiri kharab hain shokh
na thor hai na thikaana hai hoshyaaron ka

karein hain da'wa khush-chashmi-e-aahuvaan-e-dasht
tak ek dekhne chal malak un ganwaaron ka

tadap ke marne se dil ke ki maghfirat ho use
jahaan mein kuchh to raha naam be-qaraaron ka

tadap ke khirman-e-gul par kabhi gir ai bijli
jalana kiya hai mere aashiyaan ke khaaron ka

tumhein to zohd-o-wara par bahut hai apne ghuroor
khuda hai shaikh-ji ham bhi gunaahgaaron ka

uthe hai gard ki ja naala gor se is ki
ghubaar-e-'meer bhi aashiq hai ne savaaron ka

सुना है हाल तिरे कुश्तगाँ बेचारों का
हुआ न गोर गढ़ा उन सितम के मारों का

हज़ार रंग खिले गुल चमन के हैं शाहिद
कि रोज़गार के सर ख़ून है हज़ारों का

मिला है ख़ाक में किस किस तरह का आलम याँ
निकल के शहर से टक सैर कर मज़ारों का

अरक़-फ़िशानी से उस ज़ुल्फ़ की हिरासाँ हूँ
भला नहीं है बहुत टूटना भी तारों का

इलाज करते हैं सौदा-ए-इश्क़ का मेरे
ख़लल-पज़ीर हुआ है दिमाग़ यारों का

तिरी ही ज़ुल्फ़ को महशर में हम दिखा देंगे
जो कोई माँगेगा नामा सियाहकारों का

ख़राश-ए-सीना-ए-आशिक़ भी दिल को लग जाए
अजब तरह का है फ़िरक़ा ये दिल-फ़िगारों का

निगाह-ए-मस्त के मारे तिरी ख़राब हैं शोख़
न ठोर है न ठिकाना है होशयारों का

करें हैं दा'वा ख़ुश-चश्मी-ए-आहुवान-ए-दश्त
टक एक देखने चल मलक उन गँवारों का

तड़प के मरने से दिल के कि मग़्फ़िरत हो उसे
जहाँ में कुछ तो रहा नाम बे-क़रारों का

तड़प के ख़िर्मन-ए-गुल पर कभी गिर ऐ बिजली
जलाना किया है मिरे आशियाँ के ख़ारों का

तुम्हें तो ज़ोहद-ओ-वरा पर बहुत है अपने ग़ुरूर
ख़ुदा है शैख़-जी हम भी गुनाहगारों का

उठे है गर्द की जा नाला गोर से इस की
ग़ुबार-ए-'मीर' भी आशिक़ है ने सवारों का

  - Meer Taqi Meer

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari