hawa ke chalte hi baadal ka saaf ho jaana
jo habs tootna baarish khilaaf ho jaana
mere khameer ki dahqaaniyat jataata hai
ye tum se mil ke mera sheen qaaf ho jaana
ghuroor-e-husn se koi umeed mat karna
khataayein karna to khud hi mua'af ho jaana
main tez dhoop mein jal kar bhi yaad karta hoon
vo sard raat mein us ka lihaaf ho jaana
mujh aise shakhs ko raushan-zameer kar dega
vo be-qaraar hai ye inkishaaf ho jaana
हवा के चलते ही बादल का साफ़ हो जाना
जो हब्स टूटना बारिश ख़िलाफ़ हो जाना
मिरे ख़मीर की दहक़ानियत जताता है
ये तुम से मिल के मिरा शीन क़ाफ़ हो जाना
ग़ुरूर-ए-हुस्न से कोई उमीद मत करना
ख़ताएँ करना तो ख़ुद ही मुआ'फ़ हो जाना
मैं तेज़ धूप में जल कर भी याद करता हूँ
वो सर्द रात में उस का लिहाफ़ हो जाना
मुझ ऐसे शख़्स को रौशन-ज़मीर कर देगा
वो बे-क़रार है ये इंकिशाफ़ हो जाना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mehshar Afridi
our suggestion based on Mehshar Afridi
As you were reading Baarish Shayari Shayari