hai bas-ki har ik un ke ishaare mein nishaan aur
karte hain mohabbat to guzarta hai gumaan aur
ya-rab vo na samjhe hain na samjhenge meri baat
de aur dil un ko jo na de mujh ko zabaan aur
abroo se hai kya us nigah-e-naaz ko paivand
hai teer mukarrar magar is ki hai kamaan aur
tum shehar mein ho to hamein kya gham jab uthenge
le aayenge bazaar se ja kar dil o jaan aur
har chand subuk-dast hue but-shikni mein
ham hain to abhi raah mein hai sang-e-giraan aur
hai khoon-e-jigar josh mein dil khol ke rota
hote jo kai deeda-e-khoonaaba-fishaan aur
marta hoon is awaaz pe har chand sar ud jaaye
jallaad ko lekin vo kahe jaayen ki haan aur
logon ko hai khurshid-e-jahaan-taab ka dhoka
har roz dikhaata hoon main ik daagh-e-nihaan aur
leta na agar dil tumhein deta koi dam chain
karta jo na marta koi din aah-o-fughaan aur
paate nahin jab raah to chadh jaate hain naale
rukti hai meri taba to hoti hai ravaan aur
hain aur bhi duniya mein suhan-var bahut achhe
kahte hain ki ghalib ka hai andaaz-e-bayaan aur
है बस-कि हर इक उन के इशारे में निशाँ और
करते हैं मोहब्बत तो गुज़रता है गुमाँ और
या-रब वो न समझे हैं न समझेंगे मिरी बात
दे और दिल उन को जो न दे मुझ को ज़बाँ और
अबरू से है क्या उस निगह-ए-नाज़ को पैवंद
है तीर मुक़र्रर मगर इस की है कमाँ और
तुम शहर में हो तो हमें क्या ग़म जब उठेंगे
ले आएँगे बाज़ार से जा कर दिल ओ जाँ और
हर चंद सुबुक-दस्त हुए बुत-शिकनी में
हम हैं तो अभी राह में है संग-ए-गिराँ और
है ख़ून-ए-जिगर जोश में दिल खोल के रोता
होते जो कई दीदा-ए-ख़ूँनाबा-फ़िशाँ और
मरता हूँ इस आवाज़ पे हर चंद सर उड़ जाए
जल्लाद को लेकिन वो कहे जाएँ कि हाँ और
लोगों को है ख़ुर्शीद-ए-जहाँ-ताब का धोका
हर रोज़ दिखाता हूँ मैं इक दाग़-ए-निहाँ और
लेता न अगर दिल तुम्हें देता कोई दम चैन
करता जो न मरता कोई दिन आह-ओ-फ़ुग़ाँ और
पाते नहीं जब राह तो चढ़ जाते हैं नाले
रुकती है मिरी तब्अ' तो होती है रवाँ और
हैं और भी दुनिया में सुख़न-वर बहुत अच्छे
कहते हैं कि 'ग़ालिब' का है अंदाज़-ए-बयाँ और
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Love Shayari Shayari