na gul-e-naghma hoon na parda-e-saaz | न गुल-ए-नग़्मा हूँ न पर्दा-ए-साज़

  - Mirza Ghalib

na gul-e-naghma hoon na parda-e-saaz
main hoon apni shikast ki awaaz

tu aur aaraaish-e-kham-e-kaakul
main aur andesha-ha-e-door-daraaz

laaf-e-tamkeen fareb-e-saada-dili
ham hain aur raaz-ha-e-seena-gudaaz

hoon giriftaar-e-ulfat-e-sayyaad
warna baaki hai taqat-e-parwaaz

vo bhi din ho ki us sitamgar se
naaz kheenchuun bajaae hasrat-e-naaz

nahin dil mein mere vo qatra-e-khoon
jis se mizgaan hui na ho gul-baaz

ai tira ghamza yak-qalam-angez
ai tira zulm sar-b-sar andaaz

tu hua jalva-gar mubarak ho
rezish-e-sajda-e-jabeen-e-niyaaz

mujh ko poocha to kuchh gazab na hua
main gareeb aur tu ghareeb-nawaaz

asad'-ullah khan tamaam hua
ai daregha vo rind-e-shaahid-baaz

न गुल-ए-नग़्मा हूँ न पर्दा-ए-साज़
मैं हूँ अपनी शिकस्त की आवाज़

तू और आराइश-ए-ख़म-ए-काकुल
मैं और अंदेशा-हा-ए-दूर-दराज़

लाफ़-ए-तमकीं फ़रेब-ए-सादा-दिली
हम हैं और राज़-हा-ए-सीना-गुदाज़

हूँ गिरफ़्तार-ए-उल्फ़त-ए-सय्याद
वर्ना बाक़ी है ताक़त-ए-परवाज़

वो भी दिन हो कि उस सितमगर से
नाज़ खींचूँ बजाए हसरत-ए-नाज़

नहीं दिल में मिरे वो क़तरा-ए-ख़ूँ
जिस से मिज़्गाँ हुई न हो गुल-बाज़

ऐ तिरा ग़म्ज़ा यक-क़लम-अंगेज़
ऐ तिरा ज़ुल्म सर-ब-सर अंदाज़

तू हुआ जल्वा-गर मुबारक हो
रेज़िश-ए-सज्दा-ए-जबीन-ए-नियाज़

मुझ को पूछा तो कुछ ग़ज़ब न हुआ
मैं ग़रीब और तू ग़रीब-नवाज़

'असद'-उल्लाह ख़ाँ तमाम हुआ
ऐ दरेग़ा वो रिंद-ए-शाहिद-बाज़

  - Mirza Ghalib

Gareebi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Gareebi Shayari Shayari