khud se vehshat sii hone lagi hai
neend raaton kii khone lagi hai
kaise jaaun main ab paas uske
us se ulfat sii hone lagi hai
chhod aaya tha jo aankhen main vo
khwaab chaukhat pe bone lagi hai
kaise dekhoon main ab aaina vo
khaamoshi jismein sone lagi hai
hai vo mujhmein hi ab bhi kahin sach
yaadein jiski ye rone lagi hai
ख़ुद से वहशत सी होने लगी है
नींद रातों की खोने लगी है
कैसे जाऊँ मैं अब पास उसके
उस से उल्फ़त सी होने लगी है
छोड़ आया था जो आँखें मैं वो
ख़्वाब चौखट पे बोने लगी है
कैसे देखूँ मैं अब आइना वो
ख़ामुशी जिसमें सोने लगी है
है वो मुझमें ही अब भी कहीं सच
यादें जिसकी ये रोने लगी है
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari