khwahishon kii tamannaa nahin
is yaqeen pe bharosa nahin
door hai aasmaan par zameen
aadmi paanv rakhta nahin
faad do khat ye bhi aakhiri
dard ismein jhalakta nahin
aaina toot jaaye bhi to
aks sarkaar mitaa nahin
ख़्वाहिशों की तमन्ना नहीं
इस यक़ीं पे भरोसा नहीं
दूर है आसमाँ पर ज़मीं
आदमी पाँव रखता नहीं
फाड़ दो ख़त ये भी आख़िरी
दर्द इसमें झलकता नहीं
आइना टूट जाए भी तो
अक्स सरकार मिटता नहीं
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari