ye kah gaye hain musaafir lute gharo waale | ये कह गए हैं मुसाफ़िर लुटे घरों वाले

  - Mohsin Naqvi

ye kah gaye hain musaafir lute gharo waale
darein hawa se parinde khule paron waale

ye mere dil ki havas dasht-e-be-karaan jaisi
vo teri aankh ke tevar samundron waale

hawa ke haath mein kaase hain zard patton ke
kahaan gaye vo sakhi sabz chadaron waale

kahaan milenge vo agle dinon ke shehzaade
pahan ke tan pe libaade gadaagaron waale

pahaadiyon mein ghire ye bujhe bujhe raaste
kabhi idhar se guzarte the lashkaron waale

unhi pe ho kabhi naazil azaab aag ajal
wahi nagar kabhi thehre payambaron waale

tire supurd karoon aaine muqaddar ke
idhar to aa mere khush-rang pattharon waale

kisi ko dekh ke chup chup se kyun hue mohsin
kahaan gaye vo iraade sukhan-varon waale

ये कह गए हैं मुसाफ़िर लुटे घरों वाले
डरें हवा से परिंदे खुले परों वाले

ये मेरे दिल की हवस दश्त-ए-बे-कराँ जैसी
वो तेरी आँख के तेवर समुंदरों वाले

हवा के हाथ में कासे हैं ज़र्द पत्तों के
कहाँ गए वो सख़ी सब्ज़ चादरों वाले

कहाँ मिलेंगे वो अगले दिनों के शहज़ादे
पहन के तन पे लिबादे गदागरों वाले

पहाड़ियों में घिरे ये बुझे बुझे रस्ते
कभी इधर से गुज़रते थे लश्करों वाले

उन्ही पे हो कभी नाज़िल अज़ाब आग अजल
वही नगर कभी ठहरें पयम्बरों वाले

तिरे सुपुर्द करूँ आईने मुक़द्दर के
इधर तो आ मिरे ख़ुश-रंग पत्थरों वाले

किसी को देख के चुप चुप से क्यूँ हुए 'मोहसिन'
कहाँ गए वो इरादे सुख़न-वरों वाले

  - Mohsin Naqvi

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohsin Naqvi

As you were reading Shayari by Mohsin Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Mohsin Naqvi

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari