bade naaz se aaj ubhara hai suraj | बड़े नाज़ से आज उभरा है सूरज - Moin Ahsan Jazbi

bade naaz se aaj ubhara hai suraj
himaala ke unche kals jagmagaae
pahaadon ke chashmon ko sona banaya
naye bill naye zor in ko sikhaaye
libaas-e-zari aabshaaron ne paaya
nashebi zameenon pe chheente udaaye
ghane unche unche darakhton ka manzar
ye hain aaj sab aab-e-zar mein nahaaye

magar in darakhton ke saaye mein ai dil
hazaaron baras ke ye thithure se paude
hazaaron baras ke ye simte se paude
ye hain aaj bhi sard behaal be-dam
ye hain aaj bhi apne sar ko jhukaaye
are o nayi shaan ke mere suraj
tiri aab mein aur bhi taab aaye

tire paas aisi bhi koi kiran hai
jo aise darakhton mein bhi raah paaye
jo thehre huoon ko jo simte huoon ko
hararat bhi bakshe gale bhi lagaaye
bade naaz se aaj ubhara hai suraj
himaala ke unche kals jagmagaae

fazaaon mein hone lagi baarish-e-zar
koi naazneen jaise afshaan chhudaaye
damakne lage yun khalaon ke zarre
ki taaron ki duniya ko bhi rashk aaye
hamaare uqaabon ne angadaaiyaan leen
sunhari hawaon mein par fadfadaaye
fuzoon-tar hua nashsha-e-kaamraani
tajassus ki aankhon mein dore se aaye
qadam choomne barq-o-baad aab-o-aatish
b-sad-shauq daude b-sad-izz aaye

magar barq o aatish ke saaye mein ai dil
ye sadiyon ke khud-rafta naashaad taair
ye sadiyon ke par-basta barbaad taair
ye hain aaj bhi muzmahil dil-girfta
ye hain aaj bhi apne sar ko chhupaaye
are o nayi shaan ke mere suraj
tiri aab mein aur bhi taab aaye
tire paas aisi bhi koi kiran hai
unhen panja-e-tez se jo bachaaye
inhen jo naye baal-o-par aa ke bakshe
inhen jo naye sir se udna sikhaaye

बड़े नाज़ से आज उभरा है सूरज
हिमाला के ऊँचे कलस जगमगाए
पहाड़ों के चश्मों को सोना बनाया
नए बिल नए ज़ोर इन को सिखाए
लिबास-ए-ज़री आबशारों ने पाया
नशेबी ज़मीनों पे छींटे उड़ाए
घने ऊँचे ऊँचे दरख़्तों का मंज़र
ये हैं आज सब आब-ए-ज़र में नहाए

मगर इन दरख़्तों के साए में ऐ दिल
हज़ारों बरस के ये ठिठुरे से पौदे
हज़ारों बरस के ये सिमटे से पौदे
ये हैं आज भी सर्द बेहाल बे-दम
ये हैं आज भी अपने सर को झुकाए
अरे ओ नई शान के मेरे सूरज
तिरी आब में और भी ताब आए

तिरे पास ऐसी भी कोई किरन है
जो ऐसे दरख़्तों में भी राह पाए
जो ठहरे हुओं को जो सिमटे हुओं को
हरारत भी बख़्शे गले भी लगाए
बड़े नाज़ से आज उभरा है सूरज
हिमाला के ऊँचे कलस जगमगाए

फ़ज़ाओं में होने लगी बारिश-ए-ज़र
कोई नाज़नीं जैसे अफ़्शाँ छुड़ाए
दमकने लगे यूँ ख़लाओं के ज़र्रे
कि तारों की दुनिया को भी रश्क आए
हमारे उक़ाबों ने अंगड़ाइयाँ लीं
सुनहरी हवाओं में पर फड़फड़ाए
फ़ुज़ूँ-तर हुआ नश्शा-ए-कामरानी
तजस्सुस की आँखों में डोरे से आए
क़दम चूमने बर्क़-ओ-बाद आब-ओ-आतिश
ब-सद-शौक़ दौड़े ब-सद-इज्ज़ आए

मगर बर्क़ ओ आतिश के साए में ऐ दिल
ये सदियों के ख़ुद-रफ़्ता नाशाद ताइर
ये सदियों के पर-बस्ता बर्बाद ताइर
ये हैं आज भी मुज़्महिल दिल-गिरफ़्ता
ये हैं आज भी अपने सर को छुपाए
अरे ओ नई शान के मेरे सूरज
तिरी आब में और भी ताब आए
तिरे पास ऐसी भी कोई किरन है
उन्हें पंजा-ए-तेज़ से जो बचाए
इन्हें जो नए बाल-ओ-पर आ के बख़्शे
इन्हें जो नए सिर से उड़ना सिखाए

- Moin Ahsan Jazbi
6 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Moin Ahsan Jazbi

As you were reading Shayari by Moin Ahsan Jazbi

Similar Writers

our suggestion based on Moin Ahsan Jazbi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari