baad muddat ke hamne ghar dekha
yun laga jyuun khuda ka dar dekha
khidkiyaan देखी,बाम o dar dekha
phir deewaron ko aankh bhar dekha
ik shajar roya dekh kar mujhko
la-makaani ka jab asar dekha
usne aankhon mein jhaankna chaaha
aankh nam thi idhar udhar dekha
yaad baba ki khoob aayi hamein
hamne jab maa ka soona sar dekha
बाद मुद्दत के हमने घर देखा
यूँ लगा ज्यूँ ख़ुदा का दर देखा
खिड़कियाँ देखी,बाम ओ दर देखा
फिर दीवारों को आँख भर देखा
इक शजर रोया देख कर मुझको
ला-मकानी का जब असर देखा
उसने आँखों में झाँकना चाहा
आँख नम थी, इधर उधर देखा
याद बाबा की ख़ूब आई हमें
हमने जब माँ का सूना सर देखा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manmauji
our suggestion based on Manmauji
As you were reading Ghar Shayari Shayari