khud apne hi haathon ka likha kaat raha hoon
le dekh le duniya main pata kaat raha hoon
ye baat mujhe der se ma'aloom hui hai
zindaan hai ye duniya main saza kaat raha hoon
duniya mere sajde ko ibadat na samajhna
peshaani pe qismat ka likha kaat raha hoon
ab aap ki marzi hai ise jo bhi samjhiye
lekin main ishaare se hawa kaat raha hoon
tu ne jo saza di thi jawaani ke dinon mein
main umr ki chaukhat pe khada kaat raha hoon
ख़ुद अपने ही हाथों का लिखा काट रहा हूँ
ले देख ले दुनिया मैं पता काट रहा हूँ
ये बात मुझे देर से मा'लूम हुई है
ज़िंदाँ है ये दुनिया मैं सज़ा काट रहा हूँ
दुनिया मिरे सज्दे को इबादत न समझना
पेशानी पे क़िस्मत का लिखा काट रहा हूँ
अब आप की मर्ज़ी है इसे जो भी समझिए
लेकिन मैं इशारे से हवा काट रहा हूँ
तू ने जो सज़ा दी थी जवानी के दिनों में
मैं उम्र की चौखट पे खड़ा काट रहा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Munawwar Rana
our suggestion based on Munawwar Rana
As you were reading Justice Shayari Shayari