sehra-pasand ho ke simatne laga hoon main | सहरा-पसंद हो के सिमटने लगा हूँ मैं

  - Munawwar Rana

sehra-pasand ho ke simatne laga hoon main
andar se lag raha hai ki batne laga hoon main

kya phir kisi safar pe nikalna hai ab mujhe
deewar-o-dar se kyun ye lipatne laga hoon main

aate hain jaise jaise bichhadne ke din qareeb
lagta hai jaise rail se katne laga hoon main

kya mujh mein ehtijaaj ki taqat nahin rahi
peeche ki samt kis liye hatne laga hoon main

phir saari umr chaand ne rakha mera khayal
ik roz kah diya tha ki ghatne laga hoon main

सहरा-पसंद हो के सिमटने लगा हूँ मैं
अंदर से लग रहा है कि बटने लगा हूँ मैं

क्या फिर किसी सफ़र पे निकलना है अब मुझे
दीवार-ओ-दर से क्यूँ ये लिपटने लगा हूँ मैं

आते हैं जैसे जैसे बिछड़ने के दिन क़रीब
लगता है जैसे रेल से कटने लगा हूँ मैं

क्या मुझ में एहतिजाज की ताक़त नहीं रही
पीछे की सम्त किस लिए हटने लगा हूँ मैं

फिर सारी उम्र चाँद ने रक्खा मिरा ख़याल
इक रोज़ कह दिया था कि घटने लगा हूँ मैं

  - Munawwar Rana

Eid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Eid Shayari Shayari