kuchh is tarah se zamaane pe chaana chahta hai | कुछ इस तरह से ज़माने पे छाना चाहता है

  - Nadeem Farrukh

kuchh is tarah se zamaane pe chaana chahta hai
vo aftaab pe pahre bithaana chahta hai

ta'alluqaat ke dhaage to kab ke toot chuke
magar ye dil hai ki phir aana jaana chahta hai

jo qatra qatra ikattha hua tha aankhon mein
vo khoon ab meri palkon pe aana chahta hai

chatkh raha hai jo rah rah ke mere seene mein
vo mujh mein kaun hai jo toot jaana chahta hai

ameer-e-shahr tiri bandishen maaz-allah
faqeer ab tiri basti se jaana chahta hai

ye khwaahishaat ka panchi ajeeb hai har roz
nayi fazaayein naya aab-o-daana chahta hai

udaasi jhaankne lagti hai us ki aankhon se
vo shakhs jab bhi kabhi muskurana chahta hai

कुछ इस तरह से ज़माने पे छाना चाहता है
वो आफ़्ताब पे पहरे बिठाना चाहता है

तअ'ल्लुक़ात के धागे तो कब के टूट चुके
मगर ये दिल है कि फिर आना जाना चाहता है

जो क़तरा क़तरा इकट्ठा हुआ था आँखों में
वो ख़ून अब मिरी पलकों पे आना चाहता है

चटख़ रहा है जो रह रह के मेरे सीने में
वो मुझ में कौन है जो टूट जाना चाहता है

अमीर-ए-शहर तिरी बंदिशें मआज़-अल्लाह
फ़क़ीर अब तिरी बस्ती से जाना चाहता है

ये ख़्वाहिशात का पंछी अजीब है हर रोज़
नई फ़ज़ाएँ नया आब-ओ-दाना चाहता है

उदासी झाँकने लगती है उस की आँखों से
वो शख़्स जब भी कभी मुस्कुराना चाहता है

  - Nadeem Farrukh

Khoon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem Farrukh

As you were reading Shayari by Nadeem Farrukh

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem Farrukh

Similar Moods

As you were reading Khoon Shayari Shayari