dil ki khaatir use paane ki nahin thaani thi
vo to ik dost ne shole ko hawa de di thi
mujhko tang aake khada hona pada beech sadak
haath deta tha koi gaadi nahin rukti thi
ye dariche ke barabar ka jo manzar hai yahan
ek kyaari thi jo phoolon se bhari rahti thi
usko khone mein zamaane ne madad ki meri
gaanth aisi thi ki haathon se nahin khulti thi
usne pahchaana tha us roz mujhe sweater se
hamne ik dooje ki tasveer nahin dekhi thi
दिल की ख़ातिर उसे पाने की नहीं ठानी थी
वो तो इक दोस्त ने शोले को हवा दे दी थी
मुझको तंग आके खड़ा होना पड़ा बीच सड़क
हाथ देता था कोई गाड़ी नहीं रुकती थी
ये दरीचे के बराबर का जो मंज़र है यहाँ
एक क्यारी थी जो फूलों से भरी रहती थी
उसको खोने में ज़माने ने मदद की मेरी
गाँठ ऐसी थी कि हाथों से नहीं खुलती थी
उसने पहचाना था उस रोज़ मुझे स्वेटर से
हमने इक दूजे की तस्वीर नहीं देखी थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadir Ariz
our suggestion based on Nadir Ariz
As you were reading Dosti Shayari Shayari