tumhaare chehre pe dhyaan aise tika hua hai | तुम्हारे चेहरे पे ध्यान ऐसे टिका हुआ है

  - Naeem Sarmad

tumhaare chehre pe dhyaan aise tika hua hai
tamaam samton ko ek jaanib rakha hua hai

hare darakhton se belen kaise lipt rahi hain
zameen par aasmaan kaise jhuka hua hai

vo ek ladki jo mar rahi hai haya ke maare
vo ek ladka jo dekhne par tula hua hai

shab-e-visaal us ka surkh aanchal musalla kar ke
badan-vazife ka vird jaari rakha hua hai

tu sirf vehshat ke dam pe dil-dasht mein na aana
ye ism bhi raayegaan hai mera padha hua hai

phir us ke ba'ad us ne meri aankhen bhi geeli kar deen
main pooch baitha tha teri aankhon ko kya hua hai

ye waqt-e-maghrrib se qibl ka aftaab sarmad
ye us ke haathon mein kaise kaise laga hua hai

तुम्हारे चेहरे पे ध्यान ऐसे टिका हुआ है
तमाम सम्तों को एक जानिब रखा हुआ है

हरे दरख़्तों से बेलें कैसे लिपट रही हैं
ज़मीन पर आसमान कैसे झुका हुआ है

वो एक लड़की जो मर रही है हया के मारे
वो एक लड़का जो देखने पर तुला हुआ है

शब-ए-विसाल उस का सुर्ख़ आँचल मुसल्ला कर के
बदन-वज़ीफ़े का विर्द जारी रखा हुआ है

तू सिर्फ़ वहशत के दम पे दिल-दश्त में ना आना
ये इस्म भी राएगाँ है मेरा पढ़ा हुआ है

फिर उस के बा'द उस ने मेरी आँखें भी गीली कर दीं
मैं पूछ बैठा था तेरी आँखों को क्या हुआ है

ये वक़्त-ए-मग़रिब से क़ब्ल का आफ़्ताब 'सरमद'
ये उस के हाथों में कैसे कैसे लगा हुआ है

  - Naeem Sarmad

Sharm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Sarmad

As you were reading Shayari by Naeem Sarmad

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Sarmad

Similar Moods

As you were reading Sharm Shayari Shayari