ye pairhan pe pairhan vabaal hai
so khud ko be-wabaal kar visaal kar
wajood-e-jism-o-jaan se istifaada kar
zara samay nikaal kar visaal kar
lahu ko chulluon mein le ke yun uda
badan pe rang daal kar visaal kar
ameer-e-vahshiyaan-e-ishq hoon so tu
zara si dekh-bhaal kar visaal kar
ye ism-e-kaarsaaz hai junoon padh
ye hosh paayemaal kar visaal kar
tiri ye zard aankhen dekh sharm kar
tu in ka rang laal kar visaal kar
khuda jawaab de na de bigad pade
khuda se bhi sawaal kar visaal kar
visaal-e-yaar gar haraam hai to sun
haraam ko halaal kar visaal kar
khuda ka hijr asl mein visaal hai
so is mein intiqaal kar visaal kar
firaq se gurez kar gurez kar
visaal kar visaal kar visaal kar
ये पैरहन पे पैरहन वबाल है
सो ख़ुद को बे-वबाल कर विसाल कर
वजूद-ए-जिस्म-ओ-जाँ से इस्तिफ़ादा कर
ज़रा समय निकाल कर विसाल कर
लहू को चुल्लुओं में ले के यूँ उड़ा
बदन पे रंग डाल कर विसाल कर
अमीर-ए-वहशियान-ए-इश्क़ हूँ सो तू
ज़रा सी देख-भाल कर विसाल कर
ये इस्म-ए-कारसाज़ है जुनून पढ़
ये होश पाएमाल कर विसाल कर
तिरी ये ज़र्द आँखें देख शर्म कर
तू इन का रंग लाल कर विसाल कर
ख़ुदा जवाब दे न दे बिगड़ पड़े
ख़ुदा से भी सवाल कर विसाल कर
विसाल-ए-यार गर हराम है तो सुन
हराम को हलाल कर विसाल कर
ख़ुदा का हिज्र अस्ल में विसाल है
सो इस में इंतिक़ाल कर विसाल कर
फ़िराक़ से गुरेज़ कर गुरेज़ कर
विसाल कर विसाल कर विसाल कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naeem Sarmad
our suggestion based on Naeem Sarmad
As you were reading Khuda Shayari Shayari