mera dil maidaanon jaisa wus'at se bharpoor | मेरा दिल मैदानों जैसा वुसअत से भरपूर

  - Nahid Qasmi

mera dil maidaanon jaisa wus'at se bharpoor
lekin vo to sadi sadi ki karn karn ki dhool samete
veeraan veeraan ujda ujda banjar banjar rehta hai
aao nas nas dukhte logo aansuon ki ghanghor ghataaein le kar aao
mere dil par aa kar umdo
aise toot ke barso jaise saawan barase
mera dil sairaab karo
mera dil sairaab hua to tum dekhoge
kaise banjar dharti mein se naazuk akhuye phoote hain
phir jab waapas jaaoge to khaali haath nahin jaaoge
mere dil ke phool tumhaare gajre honge
aur tumhaari aankhon mein ashkon ki bajaae nagme honge

मेरा दिल मैदानों जैसा वुसअत से भरपूर
लेकिन वो तो सदी सदी की क़र्न क़र्न की धूल समेटे
वीराँ वीराँ उजड़ा उजड़ा बंजर बंजर रहता है
आओ! नस नस दुखते लोगो! आँसुओं की घनघोर घटाएँ ले कर आओ
मेरे दिल पर आ कर उमडो
ऐसे टूट के बरसो जैसे सावन बरसे
मेरा दिल सैराब करो
मेरा दिल सैराब हुआ तो तुम देखोगे
कैसे बंजर धरती में से नाज़ुक अखुए फूटते हैं
फिर जब वापस जाओगे तो ख़ाली हाथ नहीं जाओगे
मेरे दिल के फूल तुम्हारे गजरे होंगे
और तुम्हारी आँखों में अश्कों की बजाए नग़्मे होंगे

  - Nahid Qasmi

Basant Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Nahid Qasmi

Similar Moods

As you were reading Basant Shayari Shayari