tumhein ye uzr hai
tum ko jo di gai hai zameen
vo mukhtasar hai bahut
jo baazuon mein sameto to vo simat jaaye
isee liye ho tum ehsaas-e-kam-tari ka shikaar
aur un ko kitni iraadat se dekhte ho
jinhen
zameen mili hai hudood-e-nigaah se bhi bahut door door phaili hui
suno
zameen ki wus'at to koi cheez nahin
jo nasl aayegi kal vo hadein na naapegi
faqat ye dekhegi
ki jo lataafat-e-qalb-o-nazar yahan par hai
qareeb o door kahi bhi nahin
kahi bhi nahin
tum apne kaandhon pe apna hi sar tuloo karo
safar shuruat karo
तुम्हें ये उज़्र है
तुम को जो दी गई है ज़मीं
वो मुख़्तसर है बहुत
जो बाज़ुओं में समेटो तो वो सिमट जाए
इसी लिए हो तुम एहसास-ए-कम-तरी का शिकार
और उन को कितनी इरादत से देखते हो
जिन्हें
ज़मीं मिली है हुदूद-ए-निगाह से भी बहुत दूर दूर फैली हुई
सुनो
ज़मीं की वुसअत तो कोई चीज़ नहीं
जो नस्ल आएगी कल वो हदें न नापेगी
फ़क़त ये देखेगी
कि जो लताफ़त-ए-क़ल्ब-ओ-नज़र यहाँ पर है
क़रीब ओ दूर कहीं भी नहीं
कहीं भी नहीं
तुम अपने काँधों पे अपना ही सर तुलूअ करो
सफ़र शुरूअ करो
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Nahid Qasmi
As you were reading Aawargi Shayari Shayari