meri teri dooriyaan hain ab ibadat ke khilaaf | मेरी तेरी दूरियाँ हैं अब इबादत के ख़िलाफ़ - Nida Fazli

meri teri dooriyaan hain ab ibadat ke khilaaf
har taraf hai fauj-aaraai mohabbat ke khilaaf

harf-e-sarmad khoon-e-daara ke alaava shehar mein
kaun hai jo sar uthaaye baadshaahat ke khilaaf

pehle jaisa hi dukhi hai aaj bhi boodha kabeer
koi aayat ka mukhalif koi moorat ke khilaaf

main bhi chup hoon tu bhi chup hai baat ye sach hai magar
ho raha hai jo bhi vo to hai tabeeyat ke khilaaf

muddaton ke ba'ad dekha tha use achha laga
der tak hansta raha vo apni aadat ke khilaaf

मेरी तेरी दूरियाँ हैं अब इबादत के ख़िलाफ़
हर तरफ़ है फ़ौज-आराई मोहब्बत के ख़िलाफ़

हर्फ़-ए-सरमद ख़ून-ए-दारा के अलावा शहर में
कौन है जो सर उठाए बादशाहत के ख़िलाफ़

पहले जैसा ही दुखी है आज भी बूढ़ा कबीर
कोई आयत का मुख़ालिफ़ कोई मूरत के ख़िलाफ़

मैं भी चुप हूँ तू भी चुप है बात ये सच है मगर
हो रहा है जो भी वो तो है तबीअत के ख़िलाफ़

मुद्दतों के बा'द देखा था उसे अच्छा लगा
देर तक हँसता रहा वो अपनी आदत के ख़िलाफ़

- Nida Fazli
0 Likes

Mood off Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Mood off Shayari Shayari