dard kamaai hai yaar inaam nahin hai
ismein ik pal ka bhi aaraam nahin hai
ek buri baat ki maykhaane mein hain ham
dooji ye ke haathon mein jaam nahin hai
dwaapar waala pyaar na dhoondhon to behtar
ab koi radha koi shyaam nahin hai
दर्द कमाई है यार, इनाम नहीं है
इसमें इक पल का भी आराम नहीं है
एक बुरी बात कि मयखाने में हैं हम
दूजी ये के हाथों में जाम नहीं है
द्वापर वाला प्यार न ढूँढ़ों तो बहतर
अब कोई राधा, कोई श्याम नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nirvesh Navodayan
our suggestion based on Nirvesh Navodayan
As you were reading Mazdoor Shayari Shayari