vo khwaab khwaab faza-e-tarab nahin aayi
ajeeb hi thi vo shab phir vo shab nahin aayi
jo jism o jaan se chali jism o jaan talak pahunchee
vo mauj-e-garmi-e-rukhsaar-o-lab nahin aayi
to phir charaagh the ham be-charaagh raaton ke
palat ke guzri hui raat jab nahin aayi
ajab the harf ki lazzat mein jalne waale log
ki khaak ho gaye khoo-e-adab nahin aayi
jo abr ban ke barasti hai rooh-e-veeraan par
bahut dinon se vo aawaaz-e-rab nahin aayi
sada lagaayein aur apna mazaak udwaayein
ye ahl-e-dard pe uftaad kab nahin aayi
kiya hai apne hi qadmon ne paayemaal bahut
ye ham mein kaj-kulahi be-sabab nahin aayi
वो ख़्वाब ख़्वाब फ़ज़ा-ए-तरब नहीं आई
अजीब ही थी वो शब फिर वो शब नहीं आई
जो जिस्म ओ जाँ से चली जिस्म ओ जाँ तलक पहुँची
वो मौज-ए-गर्मी-ए-रुख़्सार-ओ-लब नहीं आई
तो फिर चराग़ थे हम बे-चराग़ रातों के
पलट के गुज़री हुई रात जब नहीं आई
अजब थे हर्फ़ की लज़्ज़त में जलने वाले लोग
कि ख़ाक हो गए ख़ू-ए-अदब नहीं आई
जो अब्र बन के बरसती है रूह-ए-वीराँ पर
बहुत दिनों से वो आवाज़-ए-रब नहीं आई
सदा लगाएँ और अपना मज़ाक़ उड़वाएँ
ये अहल-ए-दर्द पे उफ़्ताद कब नहीं आई
किया है अपने ही क़दमों ने पाएमाल बहुत
ये हम में कज-कुलही बे-सबब नहीं आई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Shama Shayari Shayari