udaas yaadon ki muzmahil raat beet bhi ja
ki meri aankhon mein ab lahu hai na khwaab koi
main sab diye taq-e-aarzoo ke bujha chuka hoon
tu hi bata ab
ki marg-e-mahtaab o khoon-e-anjum pe nazr kya doon
na mera maazi na mera farda
bikhar gai thi jo zulf kab ki sanwar chuki hai
aur aane waali sehar bhi aa kar guzar chuki hai
udaas yaadon ki muzmahil raat beet bhi ja
उदास यादों की मुज़्महिल रात बीत भी जा
कि मेरी आँखों में अब लहू है न ख़्वाब कोई
मैं सब दिए ताक़-ए-आरज़ू के बुझा चुका हूँ
तू ही बता अब
कि मर्ग-ए-महताब ओ ख़ून-ए-अंजुम पे नज़्र क्या दूँ
न मेरा माज़ी न मेरा फ़र्दा
बिखर गई थी जो ज़ुल्फ़ कब की सँवर चुकी है
और आने वाली सहर भी आ कर गुज़र चुकी है
उदास यादों की मुज़्महिल रात बीत भी जा!
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Neend Shayari Shayari