guzre hai dil pe jo vo kahein kya kisi se ham
apnon mein ho ke rah gaye ik ajnabi se ham
is waqia ka tazziya karna muhaal hai
sahmi hui hai ham se khushi ya khushi se ham
rahne lage khafa khafa suraj bhi chaand bhi
maanoos kya hue hain kisi raushni se ham
din din hai raat raat hai ye jaanne ke ba'ad
kaise nibaah karte bhala teergi se ham
jaana hai us maqaam pe rasta kathin sahi
laayein jo inqilaab koi shaayri se ham
paikar hamaari shaan ke qataan khilaaf hai
aankhen chura chura ke jiein zindagi se ham
गुज़रे है दिल पे जो वो कहें क्या किसी से हम
अपनों में हो के रह गए इक अजनबी से हम
इस वाक़िआ' का तज्ज़िया करना मुहाल है
सहमी हुई है हम से ख़ुशी या ख़ुशी से हम
रहने लगे ख़फ़ा ख़फ़ा सूरज भी चाँद भी
मानूस क्या हुए हैं किसी रौशनी से हम
दिन दिन है रात रात है ये जानने के बा'द
कैसे निबाह करते भला तीरगी से हम
जाना है उस मक़ाम पे रस्ता कठिन सही
लाएँ जो इंक़लाब कोई शाइरी से हम
‘पैकर’ हमारी शान के क़तअन ख़िलाफ़ है
आँखें चुरा चुरा के जिएँ ज़िंदगी से हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Paikar Yazdani
our suggestion based on Paikar Yazdani
As you were reading Neend Shayari Shayari