nahin apne to begaane bahut hain | नहीं अपने तो बेगाने बहुत हैं

  - Paikar Yazdani

nahin apne to begaane bahut hain
jahaan mein aaina-khaane bahut hain

pareshaan kyun ho mere ham-rikaabo
mere gham ko mere shaane bahut hain

zamaane bhar ki hujjat ke muqaabil
faqat tasbeeh ke daane bahut hain

abhi se aap himmat haar baithe
abhi ilzaam sar aane bahut hain

hamein rakha hai kis darje mein saahib
suna hai aap ke khaane bahut hain

kisi ko shaam ki hai fikr laahaq
kisi ko shauq farmaane bahut hain

isee ka naam paikar zindagi hai
maraahil saamne aane bahut hain

नहीं अपने तो बेगाने बहुत हैं
जहाँ में आइना-ख़ाने बहुत हैं

परेशाँ क्यों हो मेरे हम-रिकाबो
मिरे ग़म को मिरे शाने बहुत हैं

ज़माने भर की हुज्जत के मुक़ाबिल
फ़क़त तस्बीह के दाने बहुत हैं

अभी से आप हिम्मत हार बैठे
अभी इल्ज़ाम सर आने बहुत हैं

हमें रक्खा है किस दर्जे में साहिब
सुना है आप के ख़ाने बहुत हैं

किसी को शाम की है फ़िक्र लाहक़
किसी को शौक़ फ़रमाने बहुत हैं

इसी का नाम 'पैकर' ज़िंदगी है
मराहिल सामने आने बहुत हैं

  - Paikar Yazdani

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Paikar Yazdani

As you were reading Shayari by Paikar Yazdani

Similar Writers

our suggestion based on Paikar Yazdani

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari