naam par harf na aane deeje
jaan agar jaaye to jaane deeje
yaas ki aas na toote jis mein
aas ko paas na aane deeje
paara-e-dil na thama mardum-e-chashm
baithiye mujh ko uthaane deeje
gussa kya ab to gaya yaa se naseem
aaiye baithiye jaane deeje
नाम पर हर्फ़ न आने दीजे
जान अगर जाए तो जाने दीजे
यास की आस न टूटे जिस में
आस को पास न आने दीजे
पारा-ए-दिल न थमा मर्दुम-ए-चश्म
बैठिए मुझ को ऊठाने दीजे
ग़ुस्सा क्या अब तो गया याँ से 'नसीम'
आइए बैठिए जाने दीजे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
our suggestion based on Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
As you were reading Ummeed Shayari Shayari