jab ho chuki sharaab to main mast mar gaya
sheeshe ke khaali hote hi paimaana bhar gaya
ne qaasid-e-khayaal na paik-e-nazar gaya
un tak main apni aap hi le kar khabar gaya
rooh-e-ruwaan-o-jism ki soorat main kya kahoon
jhonka hawa ka tha idhar aaya udhar gaya
toofan-e-nooh is mein ho ya shor-e-hashr ho
hota jo kuchh hai hoga jo guzra guzar gaya
samjha hai haq ko apne hi jaanib har ek shakhs
ye chaand us ke saath chala jo jidhar gaya
shoreedagi se meri yahan tak vo tang the
rootha jo main to khair manaa'i ki shar gaya
main ne bhi aankhen dekhi hain pariyon ki jaao bhi
tum ne dikhaai aankh mujhe aur main dar gaya
guzra jahaan se main to kaha sun ke yaar ne
qissa gaya fasaad gaya dard-e-sar gaya
kaaghaz siyaah karte ho kis ke liye naseem
aaya jawaab-e-khat tumhein aur nama-bar gaya
जब हो चुकी शराब तो मैं मस्त मर गया
शीशे के ख़ाली होते ही पैमाना भर गया
ने क़ासिद-ए-ख़याल न पैक-ए-नज़र गया
उन तक मैं अपनी आप ही ले कर ख़बर गया
रूह-ए-रुवान-ओ-जिस्म की सूरत मैं क्या कहूँ
झोंका हवा का था इधर आया उधर गया
तूफ़ान-ए-नूह इस में हो या शोर-ए-हश्र हो
होता जो कुछ है होगा जो गुज़रा गुज़र गया
समझा है हक़ को अपने ही जानिब हर एक शख़्स
ये चाँद उस के साथ चला जो जिधर गया
शोरीदगी से मेरी यहाँ तक वो तंग थे
रूठा जो मैं तो ख़ैर मनाई कि शर गया
मैं ने भी आँखें देखी हैं परियों की जाओ भी
तुम ने दिखाई आँख मुझे और मैं डर गया
गुज़रा जहाँ से मैं तो कहा सुन के यार ने
क़िस्सा गया फ़साद गया दर्द-ए-सर गया
काग़ज़ सियाह करते हो किस के लिए 'नसीम'
आया जवाब-ए-ख़त तुम्हें और नामा-बर गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
our suggestion based on Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
As you were reading Child labour Shayari Shayari