kya aziyyat hai mard hone ki
koi bhi ja nahin hai rone ki
dayra qaid ki alaamat hai
chahe angoothi pahno sone ki
saans phoonki gai bada ehsaan
chaabi bhar di gai khilone ki
aisi sardi mein shart chadar hai
odhne ki ho ya bichhaune ki
bojh jaisa tha jis ka tha mujhe kya
mujhe ujrat mili hai dhone ki
main jazeera dubone waala hoon
khoo nahin kashtiyaan dubone ki
क्या अज़िय्यत है मर्द होने की
कोई भी जा नहीं है रोने की
दायरा क़ैद की अलामत है
चाहे अँगूठी पहनो सोने की
साँस फूंकी गई बड़ा एहसान
चाबी भर दी गई खिलौने की
ऐसी सर्दी में शर्त चादर है
ओढ़ने की हो या बिछौने की
बोझ जैसा था जिस का था मुझे क्या
मुझे उजरत मिली है ढोने की
मैं जज़ीरे डुबोने वाला हूँ
ख़ू नहीं कश्तियाँ डुबोने की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Paras Mazari
our suggestion based on Paras Mazari
As you were reading Bachpan Shayari Shayari