ek na ik deewaar sarkati rahti hai | एक न इक दीवार सरकती रहती है

  - Parveen Kumar Ashk

ek na ik deewaar sarkati rahti hai
ghar ki chat har rut mein tapakti rahti hai

jism mera shehron mein hansta gaata hai
rooh meri jungle mein sisakti rahti hai

titli pyaar kare kaaghaz ke phoolon se
khushboo seharaaon mein bhatkati rahti hai

bheed mein bhi ik chaand chamakta rehta hai
shehar mein bhi paayal si chhanakti rahti hai

chaaron or ke khaali manzar mein har saans
aankh meri tiri soorat takti rahti hai

jang lade barson guzre lekin ab bhi
sar pe mere talwaar chamakti rahti hai

barf to door pahaadon par girti hai ashk
aag meri waadi mein dahakti rahti hai

एक न इक दीवार सरकती रहती है
घर की छत हर रुत में टपकती रहती है

जिस्म मिरा शहरों में हँसता गाता है
रूह मिरी जंगल में सिसकती रहती है

तितली प्यार करे काग़ज़ के फूलों से
ख़ुशबू सहराओं में भटकती रहती है

भीड़ में भी इक चाँद चमकता रहता है
शहर में भी पायल सी छनकती रहती है

चारों ओर के ख़ाली मंज़र में हर साँस
आँख मिरी तिरी सूरत तकती रहती है

जंग लड़े बरसों गुज़रे लेकिन अब भी
सर पे मिरे तलवार चमकती रहती है

बर्फ़ तो दूर पहाड़ों पर गिरती है 'अश्क'
आग मिरी वादी में दहकती रहती है

  - Parveen Kumar Ashk

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Kumar Ashk

As you were reading Shayari by Parveen Kumar Ashk

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Kumar Ashk

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari