gulaab haath mein ho aankh mein sitaara ho | गुलाब हाथ में हो आँख में सितारा हो

  - Parveen Shakir

gulaab haath mein ho aankh mein sitaara ho
koi vujood mohabbat ka isti'aara ho

main gehre paani ki is rau ke saath bahti rahoon
jazeera ho ki muqaabil koi kinaara ho

kabhi-kabhaar use dekh len kahi mil len
ye kab kaha tha ki vo khush-badan hamaara ho

qusoor ho to hamaare hisaab mein likh jaaye
mohabbaton mein jo ehsaan ho tumhaara ho

ye itni raat gaye kaun dastaken dega
kahi hawa ka hi us ne na roop dhaara ho

ufuq to kya hai dar-e-kahkashaan bhi choo aayein
musafiron ko agar chaand ka ishaara ho

main apne hisse ke sukh jis ke naam kar daaloon
koi to ho jo mujhe is tarah ka pyaara ho

agar vujood mein aahang hai to vasl bhi hai
vo chahe nazm ka tukda ki nasr-paara ho

गुलाब हाथ में हो आँख में सितारा हो
कोई वजूद मोहब्बत का इस्तिआ'रा हो

मैं गहरे पानी की इस रौ के साथ बहती रहूँ
जज़ीरा हो कि मुक़ाबिल कोई किनारा हो

कभी-कभार उसे देख लें कहीं मिल लें
ये कब कहा था कि वो ख़ुश-बदन हमारा हो

क़ुसूर हो तो हमारे हिसाब में लिख जाए
मोहब्बतों में जो एहसान हो तुम्हारा हो

ये इतनी रात गए कौन दस्तकें देगा
कहीं हवा का ही उस ने न रूप धारा हो

उफ़ुक़ तो क्या है दर-ए-कहकशाँ भी छू आएँ
मुसाफ़िरों को अगर चाँद का इशारा हो

मैं अपने हिस्से के सुख जिस के नाम कर डालूँ
कोई तो हो जो मुझे इस तरह का प्यारा हो

अगर वजूद में आहंग है तो वस्ल भी है
वो चाहे नज़्म का टुकड़ा कि नस्र-पारा हो

  - Parveen Shakir

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari