shab wahi lekin sitaara aur hai | शब वही लेकिन सितारा और है

  - Parveen Shakir

shab wahi lekin sitaara aur hai
ab safar ka isti'aara aur hai

ek mutthi ret mein kaise rahe
is samundar ka kinaara aur hai

mauj ke murne mein kitni der hai
naav daali aur dhaara aur hai

jang ka hathiyaar tay kuchh aur tha
teer seene mein utaara aur hai

matn mein to jurm saabit hai magar
haashiya saare ka saara aur hai

saath to mera zameen deti magar
aasmaan ka hi ishaara aur hai

dhoop mein deewaar hi kaam aayegi
tez baarish ka sahaara aur hai

haarne mein ik ana ki baat thi
jeet jaane mein khasaara aur hai

sukh ke mausam ungliyon par gin liye
fasl-e-gham ka goshwaaraa aur hai

der se palkein nahin jhapkiin meri
pesh-e-jaan ab ke nazaara aur hai

aur kuchh pal us ka rasta dekh luun
aasmaan par ek taara aur hai

had charaagon ki yahan se khatm hai
aaj se rasta hamaara aur hai

शब वही लेकिन सितारा और है
अब सफ़र का इस्तिआ'रा और है

एक मुट्ठी रेत में कैसे रहे
इस समुंदर का किनारा और है

मौज के मुड़ने में कितनी देर है
नाव डाली और धारा और है

जंग का हथियार तय कुछ और था
तीर सीने में उतारा और है

मत्न में तो जुर्म साबित है मगर
हाशिया सारे का सारा और है

साथ तो मेरा ज़मीं देती मगर
आसमाँ का ही इशारा और है

धूप में दीवार ही काम आएगी
तेज़ बारिश का सहारा और है

हारने में इक अना की बात थी
जीत जाने में ख़सारा और है

सुख के मौसम उँगलियों पर गिन लिए
फ़स्ल-ए-ग़म का गोश्वारा और है

देर से पलकें नहीं झपकीं मिरी
पेश-ए-जाँ अब के नज़ारा और है

और कुछ पल उस का रस्ता देख लूँ
आसमाँ पर एक तारा और है

हद चराग़ों की यहाँ से ख़त्म है
आज से रस्ता हमारा और है

  - Parveen Shakir

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari