mujhe maaloom tha | मुझे मालूम था

  - Parveen Shakir

mujhe maaloom tha
ye din bhi dukh ki kokh se foota hai
meri maatami chadar
nahin tabdeel hogi aaj ke din bhi
jo raakh udti thi khwaabon ki badan mein
yoonhi aashufta rahegi
aur udaasi ki yahi soorat rahegi
main apne sog mein maatam-kunan
yun sar-b-zaanu raat tak baithi rahoongi
aur mere khwaabon ka pursaa aaj bhi koi nahin dega
magar ye kaun hai
jo yun mujhe baahar bulaata hai
badi narmi se kehta hai
ki apne hujra-e-gham se nikal kar baagh mein aao
zara baahar to dekho
door tak sabza bichha hai
aur hari shaakhon pe naaranji shagoofe muskuraate hain
mulaayem sabz patton par padi shabnam
sunhari dhoop mein heere ki soorat jagmagaati hai
darakhton mein chhupi naddi
bahut dheeme suron mein gungunaati hai
chamakte zard phoolon se ladi nanhi pahaadi ke aqab mein
nuqraai chashma khushi se khilkhilaata hai
parind-e-khush-guloo
shaakh-e-shagufta par chahakta hai
ghane jungle mein baarish ka ghubaar-e-sabz
sath-e-sheesha-e-dil par
mulaayem ungliyon se marhaba ke lafz likhta hai
koi aata hai
aa kar chadar-e-gham ko badi aahistagi se
mere shaanon se hata kar
saath rangon ka dupatta khol kar mujh ko udaata hai
main khul kar saans leti hoon
mere andar
koi pairo'n mein ghunghroo baandhta hai
raqs ka aaghaaz karta hai
mere kaanon ke aawezon ko ye kis ne chhua
jis se love phir se gulaabi ho gai hain
koi sargoshiyon mein phir se mera naam leta hai
fazaa ki nagmgi awaaz deti hai
hawa jaam-e-sehat tajweez karti hai

मुझे मालूम था
ये दिन भी दुख की कोख से फूटा है
मेरी मातमी चादर
नहीं तब्दील होगी आज के दिन भी
जो राख उड़ती थी ख़्वाबों की बदन में
यूँही आशुफ़्ता रहेगी
और उदासी की यही सूरत रहेगी
मैं अपने सोग में मातम-कुनाँ
यूँ सर-ब-ज़ानू रात तक बैठी रहूँगी
और मिरे ख़्वाबों का पुर्सा आज भी कोई नहीं देगा
मगर ये कौन है
जो यूँ मुझे बाहर बुलाता है
बड़ी नर्मी से कहता है
कि अपने हुजरा-ए-ग़म से निकल कर बाग़ में आओ
ज़रा बाहर तो देखो
दूर तक सब्ज़ा बिछा है
और हरी शाख़ों पे नारंजी शगूफ़े मुस्कुराते हैं
मुलाएम सब्ज़ पत्तों पर पड़ी शबनम
सुनहरी धूप में हीरे की सूरत जगमगाती है
दरख़्तों में छुपी नद्दी
बहुत धीमे सुरों में गुनगुनाती है
चमकते ज़र्द फूलों से लदी नन्ही पहाड़ी के अक़ब में
नुक़रई चश्मा ख़ुशी से खिलखिलाता है
परिंद-ए-ख़ुश-गुलू
शाख़-ए-शगुफ़्ता पर चहकता है
घने जंगल में बारिश का ग़ुबार-ए-सब्ज़
सत्ह-ए-शीशा-ए-दिल पर
मुलाएम उँगलियों से मर्हबा के लफ़्ज़ लिखता है
कोई आता है
आ कर चादर-ए-ग़म को बड़ी आहिस्तगी से
मेरे शानों से हटा कर
सात रंगों का दुपट्टा खोल कर मुझ को उड़ाता है
मैं खुल कर साँस लेती हूँ
मिरे अंदर
कोई पैरों में घुंघरू बाँधता है
रक़्स का आग़ाज़ करता है
मिरे कानों के आवेज़ों को ये किस ने छुआ
जिस से लवें फिर से गुलाबी हो गई हैं
कोई सरगोशियों में फिर से मेरा नाम लेता है
फ़ज़ा की नग़्मगी आवाज़ देती है
हवा जाम-ए-सेहत तज्वीज़ करती है

  - Parveen Shakir

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari