tum mujh ko gudiya kahte ho
theek hi kahte ho
khelne waale sab haathon ko main gudiya hi lagti hoon
jo pahna do mujh pe sajega
mera koi rang nahin
jis bacche ke haath thama do
meri kisi se jang nahin
sochti jaagti aankhen meri
jab chahe beenaai le lo
kook bharo aur baatein sun lo
ya meri goyaai le lo
maang bharo sindoor lagao
pyaar karo aankhon mein basaao
aur phir jab dil bhar jaaye to
dil se utha ke taq pe rakh do
tum mujh ko gudiya kahte ho
theek hi kahte ho
तुम मुझ को गुड़िया कहते हो
ठीक ही कहते हो!
खेलने वाले सब हाथों को मैं गुड़िया ही लगती हूँ
जो पहना दो मुझ पे सजेगा
मेरा कोई रंग नहीं
जिस बच्चे के हाथ थमा दो
मेरी किसी से जंग नहीं
सोचती जागती आँखें मेरी
जब चाहे बीनाई ले लो
कूक भरो और बातें सुन लो
या मेरी गोयाई ले लो
माँग भरो सिन्दूर लगाओ
प्यार करो आँखों में बसाओ
और फिर जब दिल भर जाए तो
दिल से उठा के ताक़ पे रख दो
तुम मुझ को गुड़िया कहते हो
ठीक ही कहते हो!
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Festive Shayari Shayari